How to unroot mobile


Android smartphone root kya hai, root karne ke fayde or nuksan kya hote hai??



Android smartphone ko root karna ek experimental way hai. Jis se aap apne smartphone ko unlock karke uspe different types ke experiment kar sakte hai. Aapne Dekha hoga Ki playstore ke kuch apps me root required likha hota hai. jiska meaning hota hai ki us app ko aapke Android me chalane ke liye aapke Android smartphone ka root kiya hua hona  jaruri h. Root ke bina wo app aapke phone me kam nhi karega. Lekin is se pahle Ki aap apne Android smartphone ko root karna chahe. Aapko uske advantages or disadvantages Jan lene chahiye.
Kuch log bina knowledge ke Hi apne phone ko root karna start kar dete hai Jo Ki galat h. Root hone ke bich me agar kuch galti ho gai to aapka smartphone brick ban sakta h. Jis se aapka phone kuch kam nhi krega. Root hone ke bad bhi agar system ka koi important app ko aapke phone se uninstall kar diya jaye to aapka smartphone kharab ho sakta hai. aapka phone kisi kam ka nhi rhega. Phone na Hi on hoga na kuch kam krega wo. Isliye puri jankari lene ke bad Hi apne phone ko root kare. Ab root ke bare aage jante hai.

Android smartphone ko root karne ke fayde (advantages)

Sabhi chizo me kuch achhi bate hoti hai or kuch buri bate bhi hoti hai. Isi tarah smartphone root karne ke kuch fayde bhi hai or kuch nuksan bhi hai. Android smartphone ko root karne ke fayde ko Maine kuch points me diacribe kiya hai.

1. Internal memory ko badha sakte hai.

2. Apne ram ko bhi badha sakte hai. Jis se aapke phone Ki speed bhi badh jayegi. Or aapka phone hang nhi hoga.

3. Apne apps ko internal memory se sd card pe move kar sakte hai jis se aapka internal memory jyada nhi bharega.

4. Root karne ke bad aap apne Android ke performance ko sudhar sakte hai. Jis se aapke phone par multitasking or gaming ka performance  achha milta hai.

5. Android smartphone ke battery ko badha sakte hai apps ke jariye.


6. Ye ek aapke smartphone ko root karne ke bade fayde me se ek hai.


7. Root karne ke bad aap apne Android ko apne man se customized kar sakte hai.


Android smartphone ko root karne ke nuksan (disadvantages)

Jaisa Ki aap jante Hi ho. Har chiz perfect nhi hoti usi tarah. Android ko root karne ke bhi kuch nuksan hai. Is liye aapke iske nuksan bhi Jan lene chahiye. Iske bad aap soch ke faisla le Ki aapko apna smartphone root krna hai ya nhi.

1. Android ko root karna ek illegal process hai jiske karan aapke smartphone ki warnty khatam ho jayegi. Isliye ho sake to koi purana smartphone ko Hi root karna chahiye but aapka phone new hai or aap usko root karna chahte hai to root karne ke guide ke sath sath usko unroot kaise karte hai wo bhi dhunde. Dhyan rhe Ki root karne or fir usko unroot karne ka guide ek Hi article me hona chahiye. Google pe search karne par aapko bht se articles mil jayenge. Mai bhi samay samay par root karne Ka tarika aapko batlata rahunga.

2. Jaise Ki Maine shuruaat me bataya tha Ki root karte time koi galti ho jati hai to aapka phn kisi kam ka ni rhega. Or fir dubara on bhi nhi hoga. Isliye root karne se pahle aapke data ka backup external sd card pe backup pe lena chahiye.

3. Android smartphone root karne ka ek bada nuksan yah hai ki aap apne smartphone ko latest OTA updates se update nhi kar sakte hai. Company rooted smartphone ke liye software updates nhi bhejti hai. Lekin aap manually apne phone ko update kar sakte hai. Iske liye aapko zip file se recovery mode me update karna hoga. Iske bare me mai aage post dalunga.

4. Rooted smartphone me kuch apps kam nhi karte hai kyuki rooting ek process hai jis se aap system ke value ko change kar sakte hai. Jiske karan kuch apps ko lagta hai Ki aapka device froud hai. Jis se wo apps aapke phone me kam nhi karte hai. For example: Google wallet

Root karna chahiye ya nhi??

Aapko aapka smartphone root karna hai Ki nhi ye aapko sochna hoga. Kyuki isme fayde to hai Hi BT kuch nuksan bhi hai. Meri salah mane to aap koi purana Android ko root kar le. Kyuki rooted smartphone me aap wo sb bhi kar sakte hai Jo bs aap sochte hai. Jaise Ki whatsapp hacking, WiFi hacking etc. Aese kai sare chize hai jinhe aap smartphone ko root krne k bad hi kar sakte hai. To ghar pe pada hua koi phone uthaiye or Google me aapke smartphone ko root kaise kaise kare wo search kr le. Kyuki har smartphone ko root karne ka Tarika alag alag hota h. Mere website me bhi mai aapko aage pc or Android se root kaise karte hai wo bataunga.

Agar aapko meri ye jankari pasand aai h to hmara Facebook page like kare or hame E-mail se subscribe kar le. Aap chahe to apne pc ke browser me ctrl+D daba ke hume bookmark me bhi save kar sakte hai. Mai aage bhi aapko latest hacking tricks. Security tricks or bhi kai sari chize  batata rahunga. Is article se Judi hui koi bat aapko janni hai to aap comment karke mujhse puch sakte hai. Aapki madad karne me mujhe khusi hogi

Previous
Next Post »