How to unroot mobile

Android smartphone unroot kaise kare Jane Hindi me



hii friends aaj hm janenge ki apne rooted Android smartphone ko unroot kaise kare. maine aapko rooting ke bare pichle post me bataya tha ki root kya hota hai or iske fayde or nuksan kya hote hai.or mai aapko ye Bhi bata chuka hu ko Android smartphone root kaise karte hai. to ab ye bhi janna chahiye ki apne Android device ko unroot kaise kare. rooted mobile ko unroot karna koi bahut jyada complicated task nhi hai. mai aapko 2 method bata RHA hu jis se aap apna phon aasani se unroot kar sakte hai. Agar aap apna phone unroot kar dete hai to aapke phone ki garanty wapas se pahle jaisi ho jayegi 

apna Android phon unroot krne se pahle kya taiyari kare :-

* apne phon ka backup rakh le.

* phone ko 60% charge rkhe.

apna Android phon unroot kaise kare step 2 step guide :-

Method #1

is method me aapko mai ek app ki madad se phon root kaise karte hai wo bataunga.


step 1. super su app download kare.

step 2. super su open kare or settings me jaye fir thoda niche aaye or full unroot pe click kare.



step 3. ab ek option khulega jisme aapko continue pe click on krna padega.



step 4. ab agar aapse super user permission manga jata hai to permission grant kare.

step 4. ab aapka phon unroot hona shuru ho jayega or super su apne aap band ho jayega. fir apne phone ko restart kare.

step 5. phone restart hone ke bad super su app uninstall kar de. ab aapka phon unroot ho chuka hai. ek bar root checker app se check krke dekh le ki aapka phon unroot hua h ki ni.

Method #2

agar aap 1st method se phone unroot nhi kar paye hai to is 2nd method se Apna phon jarur unroot kar payenge. bs in steps ko follow karte jaye.

step 1. ES file explorer install kare.

step 2. app ke install ho Jane k bad use open kare or menu button pe click kare.

step 3. ab tools pe click kare or fir root explorer pe click kare.



step 4. ab super user permission mangne par permission de de.

step 5. Ab homepage pe click kare or fir device pe click kare. Jaisa screenshot me dikhaya gya hai.



step 6. ab aap “system” folder pe jaye fir “bin” folder me. waha aapko busybox or su file milega. un dono file ko delet kr de.

agar aapko ye file nhi mila to pareshan hone ki jarurat nhi hai.
aap fir se “system” folder pe jaye or is bar “xbin” folder ko open kare or fir  aapko busybox or su file milta h to un dono ko delete kr de.

step 7. ab fir se aap “system” folder open kare. or ab “app” folder open kare or fir thesupeuser.apk ko delet kr de.

step 8. ab phon restart kr de. ab aapka phon unroot ho jayega.

I think aap apna phon unroot karne me success rhe honge. agar kisi tarah ki help chahiye to comment me puche. hinditechlearn ke new post ke updates pane ke liye hamara Facebook page like kare.



Previous
Next Post »