mobile speed test

Android smartphone ki speed kaise badhaye(latest top 6 tips)

mobile speed test

hii dosto aaj hm janenge ki Android phon ko fast kaise kare. jaisa ki aap jante Hi ho ki aajkal jyadatar log Android smartphone use karte hai Jo saste to hote Hi hai sath Hi sath powerful v hote hai. bt kabhi kabhi aapka smartphone hang hona shuru ho jata hai.



jaise jaise aapka phon purana hota hai uske hang hone ya speed slow hone ki problem bahut jyada badh jati hai. jis se aapko bahut problem hoti hogi. isi bat ko dhyan me rakhte huye mai aaj aapke liye ye post laya hu. is post me mai kuch aese tips and tricks bataunga jinhe try karke aap apne phon ki speed badha sakte ho or use hang hone se rok sakte ho.

Android smartphone ko hang hone se kaise roke :-

1. phon ke default apps ko disable kar de.

aapke phon me company ke taraf se kuch bekar k apps ya games default diye gye honge agar aap un apps ya games ka use nhi karte hai to unhe uninstall karne ki kosis kare bt agar wo uninstall nhi hote hai to aap unhe disable kar de. koi v app disable karne k liye  aap pahle settings me jaye fir apps me click kare ab jis app ko disable karna hai us pe click kare ab aapko disable ka option dikhega usme click karke OK kar de. ab wo app disable ho chuka hai. isi tarah aap jin jin app ko use nhi karte hai use disable kar de.

2. bekar ke apps or games ko uninstall kar de

maine kafi logo ko dekha hai ki wo apne phon me dher sare apps or games rakh lete hai. jis se unka phon hang karne lagta hai. phon ko achhi tarah se run karne k liye kafi ram ki jarurat hoti hai bt agar aap faltu ke apps ya games rkhenge to wo aapke phon ke ram ko kam kr denge jis se aapke phon ki speed Bhi kam ho jayegi to aap jin jin games ya apps ko kam use karte hai unhe uninstall kar de.

3. ek good antivirus bahut jaruri hai.

phon ke hang hone ya slow hone me virus bhi ek bada reasan ho sakta hai. kabhi kabhi to ye virus aapke phone ko slow to karte Hi hai sath Hi sath aapke phon ke data ya sd card ke data ko kharab kar dete hai. Jo kv kv  bahut mushkil se recover ho pate hai ya nhi Bhi hote hai. to ab aapko samjh AA Hi gya hoga ki aapko apne phon me ek antivirus app kyu rakhna chahiye. ye kuch achhe antivirus ka link mai aapko de RHA hu.
4. phon me live wallpaper or widgets nhi rakhe.

live wallpaper dikhne me to accha lagta bat ye Bhi ek wajah ban sakti hai aapke phon ko slow karne me. isliye koi normally wallpaper Hi set kare. or widgets Bhi nhi rakhne chahiye phon me.

5. ram ko regularly clean kare

kafi sare smartphones me ram bahut Hi kam bachta hai kyuki aap ek time me kafi sare apps khol ke rakh dete hai. to aap jab Bhi koi app ko use kar lete hai to use recent apps me Jake band karna na bhule. or rahi bat ram ko clean karne ki to aapko playstore me ram cleaner ya ram booster search karne se kafi sare apps mil jayenge.

in my case mai clean master app use karta hu. ye app bahut Hi behtar hai ram or junk files clean karne ke liye.

6. app cache ko regularly clear kare.

aap jab Bhi koi app use karte hai to  wo app apne program files ko cache ke roop me rakhta hai. Jo hamare kisi Bhi kam ka nhi hota hai. agar in cache files ko regularly clean nhi karenge to ye hamare phon ki memory ko khatam karne lagega. isliye use clean karna bahut jaruri ho jata hai.

phon ke cache files ko delete kaise kare.

phon k settings me jaye fir  application manager ya apps pe jaye. uske bad koi v app me click kare or clear cache me click kare. jaise niche screenshot me dikhaya hua hai. aap isi tarah baki ke apps pe Bhi click karke unka cache regularly clear krte rahe.



Aaj ka post kafi lamba tha. Ummid karta hu aap bore nhi huye honge or mere bataye gye tips se aapka phon pahle se behtar kam kr rha hoga. Agar aapko mujhse kuch puchna hai to puch sakte hai comment k jariye. Or agar aapko lagta hai ki isme kuch or tips jodne chahiye to mujhe comment me wo tips jarur bataiyega.

Agar post pasand aaya ho to share jarur karna… Thank you


Previous
Next Post »