best root app for android



Rooted Android smartphone ke liye top 10 apps


Hii friends aaj kaise ho aap sb?? Mai aaj aapko rooted Android smartphone ke liye Best apps ki list bata rha hu. Maine kuch kuch important apps ko lekar top 10 list banaya hai Jo aap sab ke liye bahut faydemand ho sakta hai. Mai aage Bhi aese Hi apps or tips and tricks ke bataya karunga.
Note :-
Ye apps rooted Android ke liye hai. agar aapko nhi pata hai ki root kya hota hai or iske fayde or nuksan kya hai to janne ke liye yaha click kare.

Apna Android smartphone root kaise kare wo janne ke liye yaha click kare.
Ye rhi rooted Android smartphone ke liye Best apps ki list ( updated )

1. SCR Screen Recorder
SCR screen Recorder ek bahut Hi Achha Android app hai is app ki madad se aap apne phone ki screen me Jo live chal RHA hai wo record kar sakte hai. agar aapka phon rooted hai to ye app aapke phone me hona Hi chahiye. or ye app ad free Bhi hai to jab aap apne phone ki screen ki recording kar rhe honge to kisi tarah ke bekar ke ads aapko pareshan nhi karenge. SCR screen Recorder ki madad se aap video k sath sath audio Bhi record kar sakte hai.
Download SCR screen Recorder

2. Root Firewall
Root firewall aapke rooted Android me jarur hona chahiye. agar aap limited internet plan use karte hai to ye app aapke liye bahut use full ho sakta hai. root firewall ki madad se aap  chahe to kisi app ko data use karne se rok sakte ho. agar aap nhi chahte ho ki koi app aapka 3g data use kare to aap us app ke data uses ko block kar sakte hai. or is app ki madad se aesa Bhi set kar sakte hai ki koi app bs WiFi ka Hi data use karega. is app ke or Bhi features hai jaise Internet firewall, ad blocker etc.. is app ko apne rooted Android me jarur install kare.
Download root firewall

3. Wifi Kill
WiFi kill bahut interesting app hai. agar aapke WiFi ka password aapke dosto ya pados Wale ko pata hai or wo aapka WiFi use kar RHA hai to aap WiFi kill app ki madad se aap unka WiFi connection ko cut kar sakte hai. jis se aapke internet browsing ki speed to badhegi Hi sath Hi sath aapke WiFi data ka chori Bhi ruk jayega. is app ko use karne ke liye aapke phone ka rooted hona jaruri hai.
Download WiFi kill

4. Wps connect
Wps connect app WiFi hacking app nhi hai ye app isliye banaya gya hai taki is app ke jariye aap apne apne WiFi network ka security check kar sake ki aapka wifi hackble hai ya nhi. wps connect app se wps security wale WiFi ke password ko aasani se nikala ja sakta hai. bt aesa Bhi nhi hai ki yah app sare wps security ke WiFi ke password ko bata de. yah app unhi WiFi ke password ko batata hai jo lower security ke hote hai. jaise outdated modem. is app ki or ek Khas bat hai ki is app ke jariye aap apne phone me saved WiFi ke password dekh sakte hai. wps connect playstore me available hai. aap use aasani se download kar sakte hai.
Download wps connect

5. Greenify
agar aapne apna phon root kar liya hai to ye app aapke phone me jarur hona chahiye. ye app aapke phone ki battery life ko boost karne ke sath sath phone ko Bhi fast karta hai. is app ki madad se aap ye pata laga sakte hai ki aapke phone ka koun sa app jyada battry kharch krta hai. or aap chahe to us app ko band Bhi kar sakte hai jis se wo app background me Bhi nhi chalega. waise to ye app free hai bt iska paid version Bhi available hai. mai aapko yehi kahunga ki free Version Hi use kare. kyuki free version me Bhi kafi sare features available hai bt aapko thoda Android ka jyada knowledge hai to aap paid version Bhi kharid sakte hai.
Download greenfiy ( free )

6.Super SU
Android phone root karne pe bahut sare Android smartphone me super su app automatically install ho jata hai. agar aapke rooted phone me super su app nhi hai to mai aapse yehi kahunga ki super su app jarur rkhe apne phon me. is app ki madad se aap bs one click me apne phon ko unroot kar sakte hai.
super su app ki madad se aap yah decide kar sakte hai ki kisi app ko root permission dena hai ya nhi. jab Bhi aap apne phone me koi app open karte hai to root permission manga jata hai Jo isi app ke jariye hota hai. ye app rooted smartphone ke liye bahut jaruri hai. is app ka pro version Bhi available hai jisme aapko kuch extra features Bhi milte hai 

7. Titanium BackUp
Titanium backup ki madad se aap apne phone ke sare apps or data ka  backup le sakte hai. ye app kafi pawer full backup app hai. agar aap apne phon ko formet karne ja rhe hai to is app ki madad se aap apne phon ke sare apps or data ka backup sd card par rakh sakte hai jiske bad bs one click se Apne phon ke backup Data ko restore kar sakte hai. titanium backup ki madad se apne Android ka id Bhi Badala ja sakta hai. aapko ye app apne phone me jarur rakhna chahiye. ye app aapko Google playstore pe aasani se mil jayega.
Download titanium backup

8. Lucky Patcher
Lucky patcher ke bare to aap jante Hi honge. Lucky patcher bahut achha Android app hai rooted phon ke liye Bhi or unrooted phone ke liye Bhi. ye app uprooted phon me Bhi achha kam krta hai bt rooted phon me lucky patcher ke extra features ko aap use kar sakte hai. is app ki madad se aap koi Bhi app ko patch karke usme se advertisements ko hata sakte hai. is app ki madad se aap koi game me unlimited coins pa sakte hai. uske bare Maine yaha detail me bataya hai.

9. link2sd
link2sd card ka nam un logo ne jarur suna hoga Jo rooted Android smartphone use karte hai. link2sd card ki madad se aap apne apps ko sd card me transfer kar sakte hai. jis se aapke internal memory me jyada space bachega. ye app unlogo ke liye usefull hai jinke phon me internal memory kam hai. aapko ye app jarur use karna chahiye.
Download link2sd

10. GT recovery
ye app rooted smartphone ke liye sabse best hai. kai bar kya hota hai ki aap apne smartphone me kuch important data ko galti se delet kr dete hai or jab aapko apna data recover karna padta hai to aap pc me koi software ke jariye data recover karte hai. bt ab aap gt recovery ki madad se apne phon me Hi phon ke deleted data ko recover kar sakte hai. bs itna Hi nhi is app ki madad se aap sms, call logs, contact numbers, saved WiFi password, photos, password etc. recover kar sakte hai to ye app jarur install kar le apne rooted smartphone me.
Download GT recovery
To ye raha rooted Android smartphone ke liye top 10 apps. Agar aapko in apps ke download karne me koi problem hoti hai to mujhse jarur puche comment ke jariye.  Agar aapka koi question is topic se hat ke hai to mujhse sawal jawab page me puche.
Latest post ke updates pane ke liye hamara Facebook page like kare 

Previous
Next Post »